mire baare meñ kuchh socho mujhe niiñd aa rahī hai
mujhe zaa.e.a na hone do mujhe niiñd aa rahī hai
mire andar ke dukh chehre se zāhir ho rahe haiñ
mirī tasvīr mat khīñcho mujhe niiñd aa rahī hai
to kyā saare gile-shikve abhī kar loge mujh se
kuchh ab kal ke liye rakkho mujhe niiñd aa rahī hai
sahar hogī to dekheñge ki haiñ kyā kyā masā.il
zarā sī der sone do mujhe niiñd aa rahī hai
tumhārā kaam hai saarī hiseñ bedār rakhnā
mire shāne pe sar rakkho mujhe niiñd aa rahī hai
bahut kuchh tum se kahnā thā magar maiñ kah na paayā
lo merī Diary rakh lo mujhe niiñd aa rahī hai