Mohsin Asrar

har nae sal naya peD laga deta hun

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
har na.e saal nayā peḌ lagā detā huuñ
aur be-ḳhānumāñ chiḌiyoñ ko batā detā huuñ
roz suntā huuñ maiñ bargad se purāne qisse
aur use apnī kahānī bhī sunā detā huuñ
roz ik daur kī āvāz Thahartī hai yahāñ
aur maiñ āvāz meñ āvāz milā detā huuñ
māñgne qarz nikal jaatā huuñ ham-sāyoñ se
aur bistar pe savālī ko liTā detā huuñ
dil ko puurī tarah hone nahīñ detā barbād
dukh ke phailāv ko maiñ ḳhud hī ghaTā detā huuñ
chāhtā huuñ tirī tasvīr banānā lekin
maiñ kisī aur kī tasvīr banā detā huuñ
jab nazar aatā hai apne sivā rah-gīr koī
ik diyā aur sar-e-rāh jalā detā huuñ
Top Urdushayar.com