Mohsin Asrar

tere gham ka tadaruk kiya to hamein sharm aa jaegi aur mar jaenge

Mohsin Asrar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
tere ġham kā tadāruk kiyā to hameñ sharm aa jā.egī aur mar jā.eñge
ḳhvāb-āvar davā ham ne le lī to phir niiñd ke kizb se zaḳhm bhar jā.eñge
sā.ateñ be-sabātī kī aulād haiñ aur sayyād haiñ is liye aao ham
vaqt ko toḌ deñ varna sab kaam kī rāteñ Dhal jā.eñgī din guzar jā.eñge
tum yūñhī ishq ke zor par ḳhud ko rakkhe raho aur hañste sañvarte raho
dekhnā ek din ham kisī moḌ par apne ham-zād ko zer kar jā.eñge
ranjisheñ dil meñ rakhnā burī baat hai kyuuñ na phir ibtidā se mohabbat kareñ
aao pahle sañvāreñ shab-e-ġham ko ham vaqt hogā to ḳhud bhī sañvar jā.eñge
ye koī baat hai utnī phailī huī zindagī meñ faqat ik tirā intizār
muntazir to tire ham raheñge magar kaise kaise hamāre safar jā.eñge
ajnabī-pan kī lau se nikaltī huī āshnā.ī kī larzāñ tapish aur ham
aisā lagtā hai goyā jhijhakte hue dūsre ḳhvāb meñ phir utar jā.eñge
kār-e-duniyā kareñ kuchh adāvat to ho Tuk tabī.at badalne kī sūrat to ho
ham agar ḳhud se laḌte-jhagaḌte rahe zindagī ke anāsir bikhar jā.eñge
pahle to shahr meñ itne raste na the itnī galiyāñ na thiiñ moḌ itne na the
ham akele khaḌe haiñ pareshān haiñ aur aage baḌhe to kidhar jā.eñge
phir achānak hī ham umr ke nā-tavāñ haath meñ aa.ina dekh kar ro paḌe
aaj tak bas yahī soch kar ḳhush rahe vo bulā.egā ham us ke ghar jā.eñge
Top Urdushayar.com