samā.atoñ ke liye raaz chhoḌ aa.e haiñ
ham us ke shahr meñ āvāz chhoḌ aa.e haiñ
ham us kī soch meñ imkān-e-intihā se alag
nayā safar nayā āġhāz chhoḌ aa.e haiñ
muzākarāt sar-e-vasl kāmyāb rahe
jo kuchh kiyā thā pas-andāz chhoḌ aa.e haiñ
havā meñ uḌtā huā rizq pā liyā lekin
parinde jur.at-e-parvāz chhoḌ aa.e haiñ
laboñ ko us kī hathelī pe rakh ke ham 'mohsin'
taḳhaiyyulāt ke e.ajāz chhoḌ aa.e haiñ