mujhe malāl bhī us kī taraf se hotā hai
magar ye haal bhī us kī taraf se hotā hai
maiñ TūTtā bhī huuñ aur ḳhud hī juḌ bhī jaatā huuñ
ki ye kamāl bhī us kī taraf se hotā hai
pukārtā bhī vahī hai mujhe safar ke liye
safar muhāl bhī us kī taraf se hotā hai
javāb detā hai mere har ik savāl kā vo
magar savāl bhī us kī taraf se hotā hai
vo mere haal se mujh ko hī be-ḳhabar kar de
ye ehtimāl bhī us kī taraf se hotā hai
maiñ us ke hijr meñ kyuuñ TuuT kar nahīñ royā
ye ik savāl bhī us kī taraf se hotā hai
jab āgahī mujhe gumrāh kartī hai 'mohsin'
junūñ bahāl bhī us kī taraf se hotā hai