Shaukat Thanvi

fareb-e-zauq ko har rang mein ayan dekha

Shaukat Thanvi

Mathura, Uttar pradesh, India

1904-1963
fareb-e-zauq ko har rañg meñ ayaañ dekhā
jahāñ jahāñ tujhe DhūñDhā vahāñ vahāñ dekhā
vahī hai dasht-e-junūñ aur vahī hai tanhā.ī
tire fareb ko ai gard-e-kārvāñ dekhā
hai barq ko bhī koī laag nā-murādoñ se
girī taḌap ke jahāñ us ne āshiyāñ dekhā
junūñ ne hāfiza barbād kar diyā apnā
kuchh ab to yaad nahīñ hai kise kahāñ dekhā
ajab ye dil hai jise bāvajūd tanhā.ī
ghirā huā tire jalvoñ ke darmiyāñ dekhā
vahīñ vahīñ tire jalvoñ ne aag bhaḌkā.ī
jahāñ jahāñ koī be-nām-o-be-nishāñ dekhā
tilism-e-soz-e-mohabbat kī garmiyāñ tauba
ki ham ne ashk ke paanī meñ bhī dhuāñ dekhā
galī meñ un kī qadam rakh ke saḳht hairāñ huuñ
yahāñ zamīñ ko bhī ham-rañg āsmāñ dekhā
lagā dī jaan kī baazī ġham-e-mohabbat ne
jab un ke husn kā saudā bahut garāñ dekhā
hazār baar sune ham ne ishq ke naale
magar kisī ne jo dekhā to be-zabāñ dekhā
Top Urdushayar.com