Shaukat Thanvi

yahan jaza-o-saza ka kuchh etibar nahin

Shaukat Thanvi

Mathura, Uttar pradesh, India

1904-1963
yahāñ jazā-o-sazā kā kuchh e'tibār nahīñ
fareb-e-hadd-e-nazar hai urūj-e-dār nahīñ
nigāh-e-lutf meñ ġham kā mire shumār nahīñ
ye e'tibār ba-andāz-e-e'tibār nahīñ
sukūn maut hī anjām-e-iztirāb-e-firāq
jise qarār na aa.e vo be-qarār nahīñ
ḳhabar nahīñ ki khile kitne phuul gulshan meñ
ki aaj jaib-o-garebāñ meñ ek taar nahīñ
ḳhudā ke naam pe dil ko sipurd-e-ishq kiyā
ab is ke ba.ad umīd-e-ma.āl-e-kār nahīñ
do ātisha na sahī dard hī sahī saaqī
jo un meñ farq kare kuchh vo bāda-ḳhvār nahīñ
ab us ko aa ke bujhā.e koī to ham jāneñ
ye dāġh-e-dil hai charāġh-e-sar-e-mazār nahīñ
rahīn-e-aish hai ḳhū-karda-e-tamannā hai
vo bāda-ḳhvār jo sar-gashta-e-ḳhumār nahīñ
zamāna ghuum rahā hai mirī nigāhoñ meñ
mujhe qarār nahīñ to kahīñ qarār nahīñ
na jā na jā kabhī us gulshan-e-tarab meñ na jā
junūñ kā naam jahāñ mausam-e-bahār nahīñ
zamāna merī tabāhī pe jaan de detā
maiñ ḳhud hī apnī tabāhī kā sogvār nahīñ
karishma-shāzī-e-nairañg-e-husn kyā kahiye
hazāroñ ahd haiñ aur koī ustuvār nahīñ
shab-e-firāq meñ andāz-e-hashr hai 'shaukat'
ab is ke ba.ad qayāmat kā intizār nahīñ
Top Urdushayar.com