ġham meñ har lab pe vahī āh-o-bukā aatī hai
muḳhtalif saaz haiñ aur ek sadā aatī hai
ho ke zindāñ se jo gulshan kī havā aatī hai
aur dīvānoñ ko dīvāna banā aatī hai
past hotī hai jahāñ ahl-e-dilā kī himmat
us jagah kaam ġharīboñ kī duā aatī hai
mujh se har haal meñ achchhā hai tasavvur merā
kam se kam aap kī tasvīr banā aatī hai
jab jafāoñ se paḌā kaam to sab bhuul ga.e
naaz thā ham ko ki ham ko bhī vafā aatī hai
dil hai yā sāz-e-shikasta hai na jaane kyā hai
ek se ek ḳhush-ā.ind sadā aatī hai
fursat itnī nahīñ miltī ki kabhī ġhaur kareñ
varna har dard kī ḳhud ham ko davā aatī hai
jām-e-sarshār idhar hai maiñ huuñ tauba hai udhar
aur idhar ka.abe se ik mast ghaTā aatī hai
din nikaltā hai to aatī hai mujhe raat kī yaad
raat aatī hai to ik taaza balā aatī hai
is taraf pā-e-shikasta meñ nahīñ tāb-e-safar
us taraf kaan meñ āvāz-e-darā aatī hai
dil meñ jo aag bhaḌaktī hai bujhātī hai vo aañkh
ḳhuub donoñ ko lagā aur bujhā aatī hai
aap gumrāh hai 'shaukat' mirī vahshat lekin
rāsta bhūlne vāloñ ko batā aatī hai