Shaukat Thanvi

sach hai inko mujhse kya aur mere afsane se kya

Shaukat Thanvi

Mathura, Uttar pradesh, India

1904-1963
sach hai in ko mujh se kyā aur mere afsāne se kyā
kar diyā dīvāna to ab kaam dīvāne se kyā
ishq kā aalam judā hai husn kī duniyā judā
mujh ko ābādī se kyā aur tum ko vīrāne se kyā
merī hairat is taraf hai terī ġhaflat us taraf
dekhiye dīvāna ab kahtā hai dīvāne se kyā
sham.a kī lau hai to us kā ruḳh bhī hai sū-e-falak
raushnī uḌ jā.egī mere siyah-ḳhāne se kyā
phir haram meñ ho rahā hai imtihān-e-ahl-e-dil
sajda-hā-e-ma.asiyat le aa.uuñ but-ḳhāne se kyā
jis tarah guzrī hai ab tak ab bhī guzregī yūñhī
ham nahīñ badle to duniyā ke badal jaane se kyā
mai-kada se ḳhum meñ aa.ī ḳhum se shīshe meñ Dhalī
mai mire lab tak na aa jā.egī paimāne se kyā
ālam-e-hastī meñ kyuuñ laa.ī hai ai umr-e-ravāñ
aise vīrāne kī raunaq aise dīvāne se kyā
diin idhar duniyā udhar aur beach meñ vaa.iz kā va.az
pher leñ 'shaukat' nazar ham apnī paimāne se kyā
Top Urdushayar.com