kaun sā jaadū hai yārab us nigāh-e-nāz meñ
dekhtā huuñ jab to paatā huuñ na.e andāz meñ
maut thī mere liye terī nigāh-e-nāz meñ
zindagī kā raaz thā tere lab-e-ejāz meñ
saaf tasvīreñ nazar aatī haiñ husn-o-ishq kī
tujh ko mere ijz meñ aur mujh ko tere naaz meñ
apne zindāñ ko uḌā kar baaġh meñ le jaa.eñ ham
lekin ab tāqat kahāñ itnī par-e-parvāz meñ