isī kā naam hai dīvāna banñā aur banā denā
butoñ ke sāmne jā kar ḳhudā kā vāsta denā
nigāh-e-shauq kā baḌh kar naqāb-e-ruḳh uThā denā
tire jalve kā barham ho ke ik bijlī girā denā
ḳhudā.ī hī ḳhudā kī ḳhaak se insāñ banā denā
tumhārā khel hai insāñ ko miTTī meñ milā denā
maiñ apnī dāstān-e-dard-e-dil ro ro ke kahtā huuñ
jahāñ se chāhnā tum sunte sunte muskurā denā
mazāq-e-shikva achchhā hai magar ik shart hī ai dil
yahāñ jo yaad kar lenā vahāñ jā kar bhulā denā
vafā be-shak jafāoñ kā badal hai lekin ai zālim
bahut mushkil hai mujh se rone vaale ko hañsā denā
zabāñ ko shikva-sanjī kā mazā hī baat kahne do
maiñ tum se ye nahīñ kahtā ki tum dād-e-vafā denā
yahī ma.anī haiñ ai 'shaukat' buland-o-past ke shāyad
nigāhoñ par chaḌhānā aur nazroñ se girā denā