haqīqat sāmne thī aur haqīqat se maiñ ġhāfil thā
mirā dil terā jalva thā tirā jalva mirā dil thā
huā nazzāra lekin yuuñ ki nazzāra bhī mushkil thā
jahāñ tak kaam kartī thiiñ nigāheñ tuur haa.il thā
rahā jān-e-tamannā ban ke jab tak jān-e-mushkil thā
na thī mushkil to us ke ba.ad phir kuchh bhī na thā dil thā
nazar bahkī hijāb uTThā huī ik raushnī paidā
phir us ke ba.ad bachnā kyā sambhalnā saḳht mushkil thā
hijāb-e-ma.asiyat parda hī kis ke nūr-e-irfāñ kā
ki jannat se judā rah kar bhī maiñ jannat meñ dāḳhil thā
bachā kar kyuuñ Duboyā nā-ḳhudā ne is safīne ko
inhīñ maujoñ meñ tūfāñ thā inhīñ maujoñ meñ sāhil thā
sujūd-e-bandagī be-kār ijz-e-ishq lā-hāsil
ye sach hai maiñ tire qābil na thā tū mere qābil thā
hiqārat se jise Thukrā diyā bargashta sho.aloñ ne
vahī parvāna-e-be-kas faroġh-e-sham-e-mahfil thā
nishān-e-manzil-e-maqsūd jo āġhāz meñ paayā
vahī sahrā-ba-sahrā thā vahī manzil-ba-manzil thā
safīna Dūbne ke ba.ad in bātoñ se kyā hāsil
jo dariyā thā to dariyā thā jo sāhil thā to sāhil thā
vo mere paas thā 'shaukat' to maiñ ne kyuuñ nahīñ dekhā
jo vo mere muqābil thā to maiñ kis ke muqābil thā