Shaukat Thanvi

dair mein hai wo na kabe mein na but-KHane mein hai

Shaukat Thanvi

Mathura, Uttar pradesh, India

1904-1963
dair meñ hai vo na ka.abe meñ na but-ḳhāne meñ hai
DhūñDhtā huuñ jis ko maiñ vo mere kāshāne meñ hai
ye tirā husn-e-tasavvur tere kāshāne meñ hai
tū na ābādī meñ hai ġhāfil na vīrāne meñ hai
hai bajā-e-ḳhud zamāna bekasī meñ mubtalā
ab muravvat kā nishāñ apne na begāne meñ hai
us kī hasrat dekhiye us kā kaleja dekhiye
raaz jis kī zindagī kā us ke mar jaane meñ hai
asl meñ ai sham.a tū hai maḳhzan-e-soz-o-gudāz
tujh se jo kuchh bach rahā vo soz parvāne meñ hai
mujh ko jannat se koī matlab na kausar se ġharaz
mere hisse kī vahī mai hai jo paimāne meñ hai
raushnī tāroñ se hotī hai na sham.oñ se ziyā
kyā zamāne kī siyāhī mere ġham-ḳhāne meñ hai
maiñ nahīñ kahtā magar maiñ ne sunā hai bārhā
jannat-ul-firdaus kī ik raah maiḳhāne meñ hai
maiñ jo rotā huuñ to rotā hai zamāna mere saath
ġham zamāne-bhar kā 'shaukat' mere afsāne meñ hai
Top Urdushayar.com