Shaukat Thanvi

ruswa ba-qadr-e-zauq-e-tamanna nahin hun main

Shaukat Thanvi

Mathura, Uttar pradesh, India

1904-1963
rusvā ba-qadr-e-zauq-e-tamannā nahīñ huuñ maiñ
apne uruuj par abhī pahūñchā nahīñ huuñ maiñ
nairañg-e-qaid-e-hastī-e-fānī na pūchhiye
martā huuñ roz aur kabhī martā nahīñ huuñ maiñ
tāsīr hī bayāñ meñ na ho jab to kyā karūñ
kyā apnā haal un ko sunātā nahīñ huuñ maiñ
jo mujh ko dekhte haiñ tujhe dekhte haiñ vo
shāyad tirī nigāh kā pardā nahīñ huuñ maiñ
kaafī hai mujh ko ik nazar iltifāt-e-dil
sargarm-e-ārzū-e-tamashā nahīñ huuñ maiñ
itnā ḳhayāl-e-dost ne be-ḳhud banā diyā
pahroñ ab apne hosh meñ aatā nahīñ huuñ maiñ
kyuuñ hañs rahe haiñ merī hañsī par sab ai junūñ
kyā qābil-e-masarrat-e-duniyā nahīñ huuñ maiñ
be-kār jāntā huuñ fusūn-e-umīd ko
nā-vāqif-e-fareb-e-tamannā nahīñ huuñ maiñ
māyūs ho chale haiñ malāmat-garān-e-ishq
vo vaqt hai ki baat samajhtā nahīñ huuñ maiñ
jalva ba-qadr-e-zauq ho ai barq-e-husn-e-dost
muusā kā ham-ḳhayāl huuñ muusā nahīñ huuñ maiñ
'shaukat' kashish zarūr hai is jalva-gāh meñ
māyūs-e-jazb-e-zauq-e-tamāshā nahīñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com