Shaukat Thanvi

jo hum anjam par apni nazar ai baghban karte

Shaukat Thanvi

Mathura, Uttar pradesh, India

1904-1963
jo ham anjām par apnī nazar ai bāġhbāñ karte
chaman meñ aag de dete qafas ko āshiyāñ karte
ajal kambaḳht aatī hai nahīñ dar par tire varna
ham aisī maut par bhī zindagānī kā gumāñ karte
sahī ifshā-e-rāz-e-ishq lekin ye musībat hai
na karte sajda tere dar par āḳhir to kahāñ karte
hameñ dair-o-haram meñ qaid rakkhā bad-nasībī ne
jahāñ sajde kī gunjā.ish na thī sajda vahāñ karte
uḌā laatī havā jo kuchh ḳhas-o-ḳhāshāk-e-zindāñ meñ
unhīñ tinkoñ pe ham apne nasheman kā gumāñ karte
ye ai fikr-e-rihā.ī kis balā meñ ham ko lā Daalā
qafas meñ dahke āzādī se zikr-e-āshiyāñ karte
Top Urdushayar.com