Shaukat Thanvi

agar gham tera gham hai to koi gham se riha kyun ho

Shaukat Thanvi

Mathura, Uttar pradesh, India

1904-1963
agar ġham terā ġham hai to koī ġham se rihā kyuuñ ho
jise hāsil ho terā qurb vo tujh se judā kyuuñ ho
ye hastī-o-adam kyuuñ ho fanā kyuuñ ho baqā kyuuñ ho
tumhīñ-tum ho to phir dil meñ ḳhayāl-e-mā-sivā kyuuñ ho
vafā meñ be-vafā.ī be-vafā.ī meñ vafā kaisī
vafā ho to jafā kyuuñ ho jafā ho to vafā kyuuñ ho
natīja kuchh nahīñ hai sham.a ke aañsū bahāne se
ye sarf-e-be-mahal āshiq kā āḳhir ḳhūñ-bahā kyuuñ ho
tumhārī bevafā.ī kyā sanad hai saarī duniyā ko
hue tum bevafā to umr merī bevafā kyuuñ ho
ḳhudā nā-karda maiñ aur kāmyābī ġhair mumkin hai
jo bar aa.e kisī sūrat vo merā mudda.ā kyuuñ ho
asar se dil ke barham kyuuñ nizām-e-dahr ho jaa.e
ham is se be-vafā kyuuñ hoñ vo ham se bā-vafā kyuuñ ho
sarāsar zulm hai is baat meñ tum se gilā merā
ridā rakkho jise tum phir vo zulm-e-nā-ravā kyuuñ ho
yahīñ tayyār haiñ jo kuchh kaho jo hukm farmāo
hamāre jurm par pābandī-e-roz-e-jazā kyuuñ ho
yahī kaafī hai marne ke liye ye bhī bahāna hai
zarūrat kyā hai āḳhir dard-e-dil us se sivā kyuuñ ho
zabāñ ḳhāmosh hai lab band haiñ himmat shikasta hai
duā se haath uThā.e haiñ to ab koī duā kyuuñ ho
maiñ khonā chāhtā huuñ madd-o-jazr-e-bahr meñ 'shaukat'
vo sāhil-āshnā kashtī kā merī nā-ḳhudā kyuuñ ho
Top Urdushayar.com