ab ba.ad-e-fanā kis ko batā.ūñ ki maiñ kyā thā
ik ḳhvāb thā aur ḳhvāb bhī ta.abīr-numā thā
ab tak vo samāñ yaad hai jab hosh-ba-jā thā
har shai meñ mujhe lutf thā har shai meñ mazā thā
tum jaur-o-jafā mujh pe na karte to burā thā
hote na agar zulm to kyā lutf-e-vafā thā
kuchh yaad haiñ āġhāz-e-mohabbat kī vo bāteñ
aur bhūlne vaale yahī paimān-e-vafā thā
mauqūf hai dīdār faqat zauq-e-nazar par
aksar ke liye tuur ke sho.aloñ meñ ḳhudā thā
yuuñ maut pe maiñ jaan ko qurbān na kartā
tū ne mujhe shāyad koī paiġhām diyā thā
hastī-o-adam donoñ ham-āġhosh the goyā
tasvīr kā ik ruḳh thā fanā ek baqā thā
matlūb ke dil meñ bhī talab thī mirī 'shaukat'
dekhā use maiñ ne to mujhe dekh rahā thā