Shaukat Thanvi

zinda hun yun ki bas mein meri KHud-kushi nahin

Shaukat Thanvi

Mathura, Uttar pradesh, India

1904-1963
zinda huuñ yuuñ ki bas meñ mirī ḳhud-kushī nahīñ
āḳhir ye aur kyā hai agar bebasī nahīñ
vo dil diyā nasīb ne jis meñ ḳhushī nahīñ
ik chiiz to milī hai magar kaam kī nahīñ
haañ ai shab-e-firāq tujhe jāntā huuñ maiñ
tū sub.h tak rahī to mirī zindagī nahīñ
hargiz fareb-e-rañg-e-masarrat na khā.iye
ye ġham kā naam hai ye haqīqī ḳhushī nahīñ
duniyā kī zīnatoñ meñ nahīñ koī bhī kamī
lekin mirī nazar meñ vo dil-bastagī nahīñ
armān bhī vahīñ haiñ tamannā bhī hai vahī
jis dil se thī ye garmī-e-mahfil vahī nahīñ
hañsne meñ bhī nihāñ haiñ yahāñ nāla-hā-e-dard
pāmāl rasm-e-ijz mirī bandagī nahīñ
ummīd hai javāb-e-ġham-e-ārzū magar
vo kyā kare jise koī ummīd hī nahīñ
va.ade ne tere saare irāde badal diye
hālāñki dard-e-dil meñ zarā bhī kamī nahīñ
maiñ huuñ ki mujh se saarā zamāna ḳhilāf hai
hālāñki jurm-e-ishq se koī barī nahīñ
ibrat-fazā hai ahl-e-zamāna ke vāste
'shaukat' vo dāstāñ jo kisī ne sunī nahīñ
Top Urdushayar.com