jab bhī salīb par koī iisā dikhā.ī de
saarī fazā meñ nuur bikhartā dikhā.ī de
is chāñdnī kī zad se bachā le koī mujhe
merā hī saaya mujh ko Darātā dikhā.ī de
poshīda kā.enāt hai is sar-zamīn meñ
dekho ise jo duur se nuqta dikhā.ī de
is shahr-e-dard-o-dāġh meñ kis kis ko DhūñDiye
har shaḳhs apne aap meñ chhuptā dikhā.ī de
ai shams' muntazir huuñ maiñ sāhil pe shaam se
bādal haTe to chāñd kā mukhḌā dikhā.ī de