Mohammad Deen Taseer

ai haq-sarisht aaina-e-haq-numa hain hum

Mohammad Deen Taseer

Lahore, Punjab, Pakistan

1902-1958
ai haq-sarisht ā.ina-e-haq-numā haiñ ham
ai ibtidā-e-kār tirī intihā haiñ ham
tum kyā ho ishva-kārī-e-taḳh.īl aur kyā
ham kyā haiñ bāz-gashta tumhārī sadā haiñ ham
zehn-e-azal meñ ek tasavvur kā ihtizād
maddham sī ek naġhma-e-kun kī navā haiñ ham
kuchh bhī nahīñ jo tū na ho tū hai to kyā nahīñ
sab kuchh bhī ham haiñ aur jo socheñ to kyā haiñ ham
aa ai naqāb-posh-e-azal aa qarīb-tar
parda ulaT ke aa ki terā mudda.ā haiñ ham
kaisī talāsh-e-rāh ki manzil meñ aap haiñ
kaisī rajā-o-bīm ki ḳhud mudda.ā haiñ ham
Top Urdushayar.com