huzūr-e-yār bhī aañsū nikal hī aate haiñ
kuchh iḳhtilāf ke pahlū nikal hī aate haiñ
mizāj ek nazar ek dil bhī ek sahī
muāmalāt-e-man-o-tū nikal hī aate haiñ
hazār ham-suḳhnī ho hazār ham-nazarī
maqām-e-jumbish-e-abrū nikal hī aate haiñ
hinā-e-nāḳhun-e-pā ho ki halqa-e-sar-e-zulf
chhupāo bhī to ye jaadū nikal hī aate haiñ
janāb-e-shaiḳh vazū ke liye sahī lekin
kisī bahāne lab-e-jū nikal hī aate haiñ
matā-e-ishq vo aañsū jo dil meñ Duub ga.e
zamīñ kā rizq jo aañsū nikal hī aate haiñ