shikva-e-bejā kī kyā un se shikāyat ham kareñ
kuchh to haiñ pahle hī barham aur kyā barham kareñ
vo tavajjoh deñ to ho ārāsta bazm-e-hayāt
vo nigāheñ pher leñ to anjuman barham kareñ
yuuñ badal leñ tāla-e-ḳhurshīd se baḳht-e-siyāh
āsmāñ kī tarah sar ko tere dar par ḳham kareñ
ā.ina-dār-e-numūd-e-husn roz-afzūñ jo ho
ham kahāñ se roz paidā ik nayā aalam kareñ
āgahī sar-chashma-e-ranj-o-alam 'tāsīr' hai
ham ḳhushī se hī nahīñ vāqif to phir kyā ġham kareñ