Nadeem Bhabha

ruh hazir hai mere yar koi masti ho

Nadeem Bhabha

Pakistan

1992
ruuh hāzir hai mire yaar koī mastī ho
halqa-e-raqs hai tayyār koī mastī ho
mujh ko miTTī ke piyāle meñ pilā taaza sharāb
jism hone lagā be-kār koī mastī ho
chaar samtoñ ne tire hijr ke ghuñghrū bāñdhe
aur ham log bhī haiñ chaar koī mastī ho
maiñ man-o-tū ke sahīfoñ kī tilāvat karūñgā
be-vazū huuñ mirī sarkār koī mastī ho
koī vaa.iz na vazīfa ki koī saum-o-salāt
jaan chhūTe mirī ik baar koī mastī ho
tere ehsās kī shiddat se bharā baiThā huuñ
ab na inkār na iqrār koī mastī ho
be-niyāzāna rahegā tirī duniyā meñ faqīr
ḳhvāb-o-ḳhvāhish nahīñ darkār koī mastī ho
Top Urdushayar.com