Nadeem Bhabha

har ek sans pe dhaDka ki aaKHiri to nahin

Nadeem Bhabha

Pakistan

1992
har ek saañs pe dhaḌkā ki kahīñ āḳhirī to nahīñ
mile dobāra agar aisī zindagī to nahīñ
achānak aanā tumhārā aur is qadar chāhat
kahīñ ye dost mirī āḳhirī ḳhushī to nahīñ
to kyuuñ na tujh se tirī guftugū kī jaa.e
tire alāva yahāñ merā koī bhī to nahīñ
ham ahl-e-ishq baḌe vaz.a-dār hote haiñ
hamārī aañkh meñ dekho kahīñ namī to nahīñ
fasīleñ chāTne vaale mujhe batā.eñ 'nadīm'
kahīñ zamīn pe ye āḳhirī sadī to nahīñ
Top Urdushayar.com