Nadeem Bhabha

waqt ki tarah tere hath se nikle hue hain

Nadeem Bhabha

Pakistan

1992
vaqt kī tarah tire haath se nikle hue haiñ
ham sitāre haiñ magar raat se nikle hue haiñ
ḳhāmushī ham pe girī āḳhirī miTTī kī tarah
aise chup haiñ ki har ik baat se nikle hue haiñ
ham kisī zo.am meñ nārāz hue haiñ tujh se
ham kisī baat pe auqāt se nikle hue haiñ
ye mirā ġham hai mire dost magar tū ye samajh
ashk to shiddat-e-jazbāt se nikle hue haiñ
ham ġhulāmī ko muqaddar kī tarah jānte haiñ
ham tirī jiit tirī maat se nikle hue haiñ
Top Urdushayar.com