hijr huuñ puurā hijr huuñ ishq visāl kare
dil kī dhaḌkan taal ho jism dhamāl kare
dekhūñ us kī chāñdnī chāñd se bhī shaffāf
aur sunahrī raushnī apnā jamāl kare
gandum jaise rañg par kaalī chādar taan
gītoñ jaisī zindagī be-sur-tāl kare
manzar se jo duur haiñ un par kare nigāh
dhyān se pahle dekhnā vahī kamāl kare
us kā ik pal dekhnā, us par darūd salām
hijr bharī jo zindagī ain visāl kare
apnā mujh ko ruup de, apnā āshiq ho
jo bhī us kā haal hai merā haal kare
saare savāl āsān haiñ mushkil ek javāb
ham bhī ek javāb haiñ koī savāl kare