tamām umr jale aur raushnī nahīñ kī
ye zindagī hai to phir ham ne zindagī nahīñ kī
sitam to ye hai ki mere ḳhilāf bolte haiñ
vo log jin se kabhī maiñ ne baat bhī nahīñ kī
jo dil meñ aatā gayā sidq-e-dil se likhtā gayā
duā.eñ māñgī haiñ maiñ ne to shā.erī nahīñ kī
bas itnā hai ki mirā baḳht Dhal gayā aur phir
mire charāġh ne bhī mujh pe raushnī nahīñ kī
mirī sipāh se duniyā larazne lagtī hai
magar tumhārī to maiñ ne barābarī nahīñ kī
kuchh is liye bhī akelā sā ho gayā huuñ 'nadīm'
sabhī ko dost banāyā hai dushmanī nahīñ kī