Nadeem Bhabha

safar ki dhul ko chehre se saf karta raha

Nadeem Bhabha

Pakistan

1992
safar kī dhuul ko chehre se saaf kartā rahā
maiñ us galī kā musalsal tavāf kartā rahā
ye merī aañkh kī masjid hai paañv dhyān se rakh
ki is meñ ḳhvāb koī etakāf kartā rahā
maiñ ḳhud se pesh bhī aayā to intihā kar dī
mujh aise shaḳhs ko bhī vo muaaf kartā rahā
aur ab khulā ki vo ka.aba nahīñ tirā ghar thā
tamām umr maiñ jis kā tavāf kartā rahā
maiñ lau maiñ lau huuñ alaav maiñ huuñ alaav 'nadīm'
so har charāġh mirā e'tirāf kartā rahā
Top Urdushayar.com