jaisā huuñ jis haal meñ huuñ achchhā huuñ maiñ
tum ne zinda samjhā to zinda huuñ maiñ
ik āvāz ke aate hī mar jā.ūñgā
ik āvāz ke sunñe ko zinda huuñ maiñ
khule hue darvāze dastak bhuul chuke
indar aa jaao pahchān chukā huuñ maiñ
aur koī pahchān mirī bantī hī nahīñ
jānte haiñ sab log ki bas terā huuñ maiñ
jaane kis ko raazī karnā hai mujh ko
jaane kis kī ḳhātir naach rahā huuñ maiñ
ab to ye bhī yaad nahīñ ki mohabbat meñ
kab se tere paas huuñ aur kitnā huuñ maiñ