ek suḳhan ko bhuul kar ek kalām thā zarūr
merā to zikr hī na thā par tirā naam thā zarūr
kaañp rahe the mere haath chīḳh rahe the bām-o-dar
zahr agar nahīñ thā vo āḳhirī jaam thā zarūr
yūñhī nahīñ tamām umr sajde meñ hī guzar ga.ī
ishq kī is namāz kā koī imaam thā zarūr
yaad abhī nahīñ hameñ zehn pe zor de chuke
tum hī se milne aa.e the tum se hī kaam thā zarūr
tum ne jab us kī baat kī tum pe bhī pyaar aa gayā
chūmā nahīñ tumheñ miyāñ garche maqām thā zarūr
aap mujhe bhulā chuke yaad to kījiye janāb
merī bhī ik shanāḳht thī merā bhī naam thā zarūr