logoñ ke sabhī falsafe jhuTlā to ga.e ham
dil jaise bhī samjhā chalo samjhā to ga.e ham
māyūs bhalā kyuuñ haiñ ye duniyā ke manāzir
ab āñkhoñ meñ bīnā.ī liye aa to ga.e ham
kis baat pe rūThe dar-o-dīvār-e-makāñ haiñ
kuchh der se aa.e haiñ magar aa to ga.e ham
ḳhud raakh hue sub.h talak sach hai ye lekin
ai raat tire jism ko pighlā to ga.e ham
ro.e hañse ujḌe base bichhḌe bhī mile bhī
dil saare tamāshe tujhe dikhlā to ga.e ham
kyuuñ hāshiye par aaj bhī rakhtī hai kahānī
kirdār nibhāne kā hunar pā to ga.e ham
ab baḌh ke zarā DhūñDh leñ manzil ke nishāñ bhī
uktā.e hue rāste bahlā to ga.e ham
sābun kī tarah ḳhud ko galānā paḌā be-shak
par lafz-e-mohabbat tujhe chamkā to ga.e ham