dīvāngī meñ apnā pata pūchhtā huuñ maiñ
ai ishq is maqām pe to aa gayā huuñ maiñ
Dar hai ki dam na toḌ duuñ ghuT ghuT ke ek din
barsoñ se apne jism ke andar paḌā huuñ maiñ
tūfāñ meñ jo na bujh sake hoñge vo aur log
āñdhī se iḳhtilāf meñ aksar bujhā huuñ maiñ
lagtā hai lauT jā.egī māyūs niiñd phir
masrūf us kī yādoñ meñ baiThā huā huuñ maiñ
in hādsoñ se kah de zarā sabr to kareñ
ai ziist terī bazm meñ bilkul nayā huuñ maiñ
kirdār aadhe mar chuke aadhe palaT ga.e
is vaqt kyuuñ fasāne meñ laayā gayā huuñ maiñ
raushan karo mujhe ki zarā tīrgī haTe
bekār kab se taaq pe rakkhā huā huuñ maiñ
aa aa ke kyuuñ Thahartī haiñ mujh meñ hī ḳhvāhisheñ
hotel huuñ yā sarā.e huuñ batlāo kyā huuñ maiñ
sau baar imtihān zarūrī hai kyā mirā
kaafī nahīñ hai kah diyā tujh se tirā huuñ maiñ
kuchh to chamak dikhe mire ash.ār meñ mujhe
muddat se shā.erī meñ lahū thūktā huuñ maiñ