ḳhizāñ ke hosh kisī roz maiñ uḌātā huā
tumheñ dikhūñgā yaqīnan bahār laatā huā
tamām vaar mirī ruuh par the lekin maiñ
tamām umr phirā jism ko bachātā huā
ḳhushī se karnā ravāna mire makāñ mujh ko
maiñ haar jā.ūñ agar vahshateñ harātā huā
bahut udaas akelā hamesha lauTā kyuuñ
falak pe jo bhī dikhā mujh ko jagmagātā huā
mujhe bulāne makāñ aa na jaa.e sahrā tak
maiñ ghar se aayā to huuñ naqsh-e-pā miTātā huā
tumhārī yaad hai bikhrī paḌī ka.ī din se
laraz rahā huuñ maiñ apne hī ghar meñ aatā huā
hai ik ġharīb ke bachche sī zindagī apnī
ḳhushī kā parb bhī guzre jise rulātā huā
ye tere lams kā jaadū hai yā vafā merī
badan se aa gayā bāhar gale lagātā huā