maiñ shajar huuñ aur ik pattā hai tū
merī hī to shāḳh se TuuTā hai tū
shā.erī meñ roz tūfāñ se laḌā
kyā samundar meñ kabhī utrā hai tū
sub.h tak sahmī rahīñ āñkheñ mirī
ḳhvāb kaisī raah se guzrā hai tū
kyā ḳhabar kab saath merā chhoḌ de
āñkhoñ meñ Thahrā huā qatra hai tū
kuchh kamī shāyad tirī miTTī meñ hai
jab sameTā dil tujhe bikhrā hai tū
vaqt-e-ruḳhsat tū burā mat kah ise
umr bhar is jism meñ Thahrā hai tū
buz-dilī keval mire andar hai kyā
yuuñ mujhe hairat se kyuuñ taktā hai tū
ye tirī sāzish hai yā phir ittifāq
maiñ jahāñ Duubā vahīñ ubhrā hai tū
jo añdhere meñ kahīñ gum ho gayā
sochtā huuñ kyā vahī saaya hai tū
kyā ḳhabar muḳhbir havā kā ho vahī
ai diye jis ke liye jaltā hai tū
zindagī ne phir tujhe uljhā liyā
maiñ na kahtā thā abhī bachcha hai tū