Imran Badayuni

ek muddat se to Thahre hue pani mein hun main

Imran Badayuni

Kalora, Uttar pradesh, India

1991
ek muddat se to Thahre hue paanī meñ huuñ maiñ
aur had ye hai ki kahnā hai ravānī meñ huuñ maiñ
zindagī jakḌe hue thī mire andar mujh ko
maut ke ba.ad lagā jaise ravānī meñ huuñ maiñ
mere hone pe jahāñ mujh ko hī shak hotā thā
aaj us shahr kī nāyāb nishānī meñ huuñ maiñ
merā kirdār to bilkul bhī nahīñ mujh jaisā
koī batlā.e mujhe kis kī kahānī meñ huuñ maiñ
kitnī hī tarah se kāġhaz pe likhūñ ḳhud ko magar
mujh ko ma.alūm hai bas ek ma.ānī meñ huuñ maiñ
ḳhud ko ta.amīr karūñ aur bikhar bhī jā.ūñ
apnī nākām tamannāoñ ke saanī meñ huuñ maiñ
qabr vīrān mire jism se baḌh kar to nahīñ
kis liye ḳhauf-zada naql-e-makānī meñ huuñ maiñ
hādse dard ghuTan saare vahī haiñ keval
ab ke kirdār kisī aur kahānī meñ huuñ maiñ
mere jazbāt to būḌhoñ kī tarah lagte haiñ
sirf chehra ye batātā hai javānī meñ huuñ maiñ
Top Urdushayar.com