Imran Badayuni

main sari umr ahd-e-wafa mein laga raha

Imran Badayuni

Kalora, Uttar pradesh, India

1991
maiñ saarī umr ahd-e-vafā meñ lagā rahā
anjām kah rahā hai ḳhatā meñ lagā rahā
saare purāne zaḳhm na.e zaḳhm ne bhare
bekār itne din maiñ davā meñ lagā rahā
aisā nahīñ ki chāñd na utrā ho baam par
maiñ hī tamām raat hayā meñ lagā rahā
ai aql aur hogā koī us kī shakl kā
dil kaise maan le vo jafā meñ lagā rahā
ghar kar liyā udaas fazāoñ ne dil meñ maiñ
bāhar kī ḳhush-gavār fazā meñ lagā rahā
kyā hai ye zindagī vo batā.egā kis tarah
jo shaḳhs saarī umr qazā meñ lagā rahā
sūraj to jā ke chain se bistar pe so gayā
shab bhar magar charāġh havā meñ lagā rahā
mujh se namāz-e-ishq mukammal nahīñ huī
kis muñh se maiñ kahūñ ki ḳhudā meñ lagā rahā
bahrā na mujh ko kar de ye ḳhāmoshiyoñ kā shor
keval isī liye maiñ sadā meñ lagā rahā
kyuuñ mere haq meñ faisla utrā nahīñ kabhī
maiñ bhī to us ke saath duā meñ lagā rahā
vo chāhtā hai kyā ye mujhe thī ḳhabar magar
meñ us ke saath saath duā meñ lagā rahā
Top Urdushayar.com