Imran Badayuni

aasman mil na saka dharti pe aaya na gaya

Imran Badayuni

Kalora, Uttar pradesh, India

1991
āsmāñ mil na sakā dhartī pe aayā na gayā
zindagī ham se koī Thaur banāyā na gayā
ās.māñ mujh se miyāñ hujre meñ laayā na gayā
shā.irī chhoḌ dī mafhūm churāyā na gayā
naukrī kii, likhī nazmeñ, sukūñ paayā na gayā
shahr-e-dil tujh ko kisī taur basāyā na gayā
ghar kī vīrāniyāñ rusvā huiiñ bekār meñ hī
mujh se bāzār meñ bhī vaqt bitāyā na gayā
josh meñ Dhā to dī rishte kī imārat lekin
donoñ se aaj talak malba haTāyā na gayā
ḳhuun ke daaġh na aa jaa.eñ mire lahje meñ
is liye ġhazloñ ko aḳhbār banāyā na gayā
dikh na jaa.e tū bichhaḌtī huī bas is Dar se
mujh se āñkhoñ ko koī ḳhvāb dikhāyā na gayā
apnā hissa bhī to māñgā hai zamīñ se maiñ ne
ās.māñ yuuñ hī mire sar pe girāyā na gayā
jo tirī yaad ke panchhī na ruke kyā hai ajab
umr bhar dil meñ to tujh ko bhī biThāyā na gayā
zaat maz.hab ki zabāñ naam usī ke to haiñ sab
ḳhud ko jis qaid se tā-umr chhuḌāyā na gayā
ḳhaak dariyā ke kināroñ ko milā.ūñgā maiñ
ḳhud ko hī aaj talak ḳhud se milāyā na gayā
merā īmān huā ḳharch jise paane meñ
kyā ġhazab hogā jo us shai ko bachāyā na gayā
Top Urdushayar.com