tujh ko dekhā to ye lagā hai mujhe
ishq sadiyoñ se jāntā hai mujhe
āshnā saḌkeñ ajnabī chehre
shahr meñ aur kyā dikhā hai mujhe
log qīmat mirī lagāte haiñ
kis jagah tū ne rakh diyā hai mujhe
sub.h ruḳhsat kare makāñ merā
shaam ko ḳhud hī DhūñDhtā hai mujhe
rat-jago tum hī kuchh batāo ab
ishq to hai hī aur kyā hai mujhe
maiñ bhī kyā dūsroñ ke jaisā huuñ
ḳhud ko bāhar se dekhnā hai mujhe
baat sach hai magar kahūñ kaise
tishnagī ne Dubo diyā hai mujhe
mauj-dar-mauj miT rahā huuñ maiñ
kaun sāhil pe likh gayā hai mujhe
kis liye roz jaag jaatā huuñ
kaun hai jis kā Dar lagā hai mujhe