hujūm-e-yās meñ maañ kī duā miltī rahī hai
ye daulat zindagī meñ bārhā miltī rahī hai
kisī kā kuchh bigāḌā hī nahīñ ham ne zamāne meñ
hameñ to ḳhvāb likhne kī sazā miltī rahī hai
tire dar tak pahuñchne kī kabhī naubat nahīñ aa.ī
ki raste meñ hameñ apnī anā miltī rahī hai
bachā ke laakh rakkhā tū ne apne dāman-e-dil ko
magar zaḳhmoñ ko phir bhī kuchh havā miltī rahī hai
agar ham ġhaur se dekheñ to ab mahsūs hotā hai
ki vo ham se yūñhī be-mudda.ā miltī rahī hai
kahīñ bhī haath phailā.e nahīñ tere sivā ham ne
hameñ har moḌ par terī atā miltī rahī hai