Safdar Saleem Sial

dida-o-dil meri sarkar uTha lae hain

Safdar Saleem Sial

1936-1918
dīda-o-dil mirī sarkār uThā laa.e haiñ
ham qafas meñ bhī tirā pyaar uThā laa.e haiñ
kaise chhīneñge bhalā ham se mohabbat terī
ham tire kūcha-o-bāzār uThā laa.e haiñ
laakh vīrān sahī gosha-e-zindāñ lekin
ham to tere lab-o-ruḳhsār uThā laa.e haiñ
zañg-ālūd paḌe the tirī ġhaflat ke sabab
ham vahī dard ke hathiyār uThā laa.e haiñ
ham se bāñTī na ga.iiñ bachchoñ meñ ḳhushiyāñ ab ke
iid ke din rasan-o-dār uThā laa.e haiñ
husn-e-yūsuf tirī hurmat ko bachāne ke liye
ham yahāñ misr kā bāzār uThā laa.e haiñ
surḳh-rūī kī numā.ish thī sar-e-bazm-e-jahāñ
mire qātil mirī dastār uThā laa.e haiñ
maiñ to ik umr se ḳhāmosh paḌā thā 'safdar'
mere dushman mirā pindār uThā laa.e haiñ
Top Urdushayar.com