shahr ke log jise terī sitam-zā.ī kaheñ
ham bahar-hāl use apnī pazīrā.ī kaheñ
tere ahbāb hameñ ġhair samajhte hī rahe
tere dushman hameñ ab tak tirā shaidā.ī kaheñ
ye sharaf bhī tirī chāhat meñ milā hai ham ko
tere sab chāhne vaale hameñ saudā.ī kaheñ
ham sajāte haiñ shab-o-roz tire zikr ke saath
ham qafas meñ bhī vahī naġhma-e-sahrā.ī kaheñ
laakh TuuTe haiñ suroñ par tirī ulfat meñ pahāḌ
tere dīvāne pahāḌoñ ko magar raa.ī kaheñ
tujh ko shikva hai yahāñ aa ke tujhe bhuul ga.e
ham bhalā kis se qafas meñ ġham-e-tanhā.ī kaheñ
ham ne chāhā tujhe zindāñ kī salāḳhoñ ke evaz
ise nādānī kaheñ yā ise dānā.ī kaheñ