rastoñ pe na baiTho ki havā tañg karegī
bichhḌe hue logoñ kī sadā tañg karegī
a.asāb pe pahre na biThā sub.h-e-safar hai
TūTegā badan aur qabā tañg karegī
mat TuuT ke chāho use āġhāz-e-safar meñ
bichhḌegā to ik ek adā tañg karegī
itnā bhī use yaad na kar shām-e-ġharībāñ
mahkegī fazā bū-e-hinā tañg karegī
ḳhvāboñ ke jazīre se nikalnā hī paḌegā
jis samt ga.e bū-e-qabā tañg karegī
pur-habs shaboñ meñ abhī nīndeñ nahīñ utrīñ
niiñd aa.ī to phir bād-e-sabā tañg karegī
ḳhud-sar hai agar vo to marāsim na baḌhāo
ḳhuddār agar ho to anā tañg karegī