suune hī rahe hijr ke sahrā use kahnā
sūkhe na kabhī pyaar ke dariyā use kahnā
barbād kiyā ham ko tirī kam-nazarī ne
yuuñ hote na varna kabhī rusvā use kahnā
ik hashr bapā kar ke sar-e-shām safar meñ
phir tū ne mirā haal na pūchhā use kahnā
jis hashr ke Dar se vo judā mujh se huā thā
vo hashr to phir bhī huā barpā use kahnā
ik ḳhvāb sā dekhā thā to maiñ kaañp uThā thā
phir maiñ ne koī ḳhvāb na dekhā use kahnā