Safdar Saleem Sial

apne ahd-e-wafa se ru-gardani karta rahta hai

Safdar Saleem Sial

1936-1918
apne ahd-e-vafā se rū-gardānī kartā rahtā hai
merī sub.hoñ shāmoñ kī nigrānī kartā rahtā hai
kyā kahiye kis mushkil meñ baaqī hai mohabbat kā mīsāq
jis par aa.e din vo ḳhud nigrānī kartā rahtā hai
us ke apne ghar kā safāyā din ko kaise ho paayā
vo jo shab bhar shahr kī ḳhud nigrānī kartā rahtā hai
dil ne us ko bhulā dene kā azm to kitnī baar kiyā
dil pāgal hai ḳhud hī nā-farmānī kartā rahtā hai
merī nā-samjhī ke baa.is us ke masā.il ulajh ga.e
merī ḳhātir jo paidā āsānī kartā rahtā hai
yuuñ lagtā hai us ke din bhī puure hone vaale haiñ
hadd-e-bisāt se baḌh kar vo man-mānī kartā rahtā hai
us kī jhūTī tardīdoñ ko sun kar chup ho jaatā huuñ
mere ḳhilāf jo din bhar ġhalat-bayānī kartā rahtā hai
jis ko tū ne apne hāthoñ ūñchā kiyā hai jaan 'salīm'
mere ḳhilāf vahī to zahr-afshānī kartā rahtā hai
Top Urdushayar.com