Safdar Saleem Sial

mohabbaton mein bhi mal-o-manal mangte hain

Safdar Saleem Sial

1936-1918
mohabbatoñ meñ bhī māl-o-manāl māñgte haiñ
ye kaise log haiñ ajr-e-visāl māñgte haiñ
vabāl-e-jāñ the shab-o-roz kal jo apne liye
guzar ga.e to vahī māh-o-sāl māñgte haiñ
samajh meñ aayā nahīñ un kā mudda.ā kyā hai
likheñ javāb to phir vo savāl māñgte haiñ
mohabbatoñ kī dukāneñ ujaḌne vaalī haiñ
uruuj dekh chuke haiñ zavāl māñgte haiñ
dil-o-dimāġh kī ye ḳhosha-chīniyāñ dekho
tujhe gañvā ke tire ḳhadd-o-ḳhāl māñgte haiñ
kahīñ to bhuul huī hai ki aaj tere liye
uruuj māñgne vaale zavāl māñgte haiñ
vo tujh se karte haiñ merī shikāyateñ lekin
mujhī se vo tire ḳhvāb-o-ḳhayāl māñgte haiñ
Top Urdushayar.com