purānī naav ke taḳhte pe dil banāte hue
maiñ ro paḌūñ na koī ḳhvāb gungunāte hue
suhūlat aisī nahīñ hai ki ham bhī tum bhī mileñ
ufuq ke ḳhat pe zamīn āsmāñ milāte hue
ye maiñ tamannā tamannā pighal na jā.ūñ kahīñ
diye kī bujhtī huī lau se sharm khāte hue
jazīre vāloñ ne sīkhā hai apnī āñkhoñ se
tumhārā naam samundar meñ kaam aate hue