Nilofar Afzal

macha hua hai KHudaon ki an-kahi ka shor

Nilofar Afzal

Lahore, Punjab, Pakistan

1995
machā huā hai ḳhudāoñ kī an-kahī kā shor
magar vo guuñj ki khā jā.egī sabhī kā shor
tamām raat mahaktā thā us kī Table par
gulāb-e-tāza kī ḳhushbū meñ february kā shor
shajar kī tāb-e-samā.at pe daad bantī hai
ye suntā aayā hai sadiyoñ se aadmī kā shor
ai nā-ḳhudāo samundar ko mat sunā denā
hamārī naav meñ asbāb kī kamī kā shor
baḌe salīqe se aa kar qazā ne chaaT liyā
zamīñ ke sahn meñ barpā thā zindagī kā shor
bas ek baar zamāne ke dar pe dastak dī
ab aise kaun machā.e ghaḌī ghaḌī kā shor
Top Urdushayar.com