miTte hue hurūf ko paḌhne kī ḳhū kiyā kareñ
satreñ kuredte hue poreñ lahū kiyā kareñ
nau-vāridān-e-ishq se kah dījiye ki dasht meñ
vahshat se qabl ret se jā kar vuzū kiyā kareñ
injī-e-dil meñ darj hoñ āyāt-e-nuqra.ī to phir
ham bhī suḳhan ke baab meñ kuchh hāv-hū kiyā kareñ
mai-ḳhāna-e-azal ko vo do nain phir se lā ke do
jo ehtimām-e-ḳhvāhish-e-jām-o-subū kiyā kareñ