sabz lahja kahāñ samajhtā hai
vo to apnī zabāñ samajhtā hai
zāviye raas aa ga.e us ko
dhuup ko sā.ebāñ samajhtā hai
rāste khul ga.e haiñ us pe magar
manziloñ ko dhuāñ samajhtā hai
kartā hai jald-bāziyāñ insāñ
sabr ko rā.egāñ samajhtā hai
maut kā chehra dekh kar bhī vaqt
ziist ko jāvedāñ samajhtā hai