dil ke darvāze par nazar rakhiye
kaun aatā hai ye ḳhabar rakhiye
paañv bilkul nahīñ jaleñge phir
dhuup ke sāmne shajar rakhiye
dūsre kaam bhī zarūrī hai
apne saa.e kī bhī ḳhabar rakhiye
raushnī bāñTte hai taare vahāñ
āsmānoñ pe bhī nazar rakhiye
kuchh charāġhoñ ko rakhiye chaukhaT par
aur kuchh dil kī taaq par rakhiye
ye phisal jā.egā kisī bhī jagah
dil ko thoḌā sā thaam kar rakhiye